Lyrics
Kuch anokhe rules hai is anokhi jung ke Lyrics
Kuch anokhe rules hai is anokhi jung ke
Ho baal hain safed aur khwab aasmani rang ke
Kuch anokhe rules hai iss anokhi jung ke
Ho baal hain safed aur khwab aasmani rang ke
Zindagi ke panno pe jhurriyon ki siyahi se
Aisa kuch likhenge hum sab ke hosh udayenge hum
Ho rahe naye naye usi purane dhang se
Ho baal hain safed aur khwab aasmani rang ke
Barson se takkal ko dhoop ne chua nahi
Barson se iss dil me kuch bhi hua nahi
Barsoo se takkal ko dhoop ne chua nahi
Barson se is dil me kuch bhi hua nahi
Uth khada hua hoon mai ek udhar ki umang se
Ho baal hain safed aur khwab aasmani rang ke
Boodhi zindagi se aankh bhi ladai hai
Waqt ke maslon me tang bhi aadai hai
Boodhi zindagi se aankh bhi ladai hai
Waqt ke maslon me tang bhi aadai hai
Uljhi si hawa me bhi hum mast hai patang se
Ho baal hain safed aur khwab aasmani rang ke
Kuch anokhe rules hai is anokhi jung keq
Ho baal hain safed aur khwab aasmani rang ke.
Bewajah hi jo humse rooth kar gayi thi Lyrics
Bewajah hi jo humse rooth kar gayi thi
Bewajah hi jo humse rooth kar gayi thi
Phir laut aayi hai zindagi
Phir laut aayi hai zindagi
Na jaane aaj, kitne arse ke baad
Na jaane aaj, kitne arse ke baad
Humein raas aayi hai zindagi
Phir laut aayi hai zindagi
Khudko hi chunwa ke
Waqt ki deewaron mein
Butt se bane huve thhe hum
Khudko hi chunwa ke
Waqt ki deewaron mein
Butt se bane huve the hum
Kal tak samajhte the qaid hum jise
Kal tak samajhte the qaid hum jise
Aaj woh rihaai hai zindagi
Phir laut aayi hai zindagi
Hazaaron hi sooraj ki roshni jo milke
Mitaa na saki woh andhera
Hazaaron hi sooraj ki roshni jo milke
Mitaa na saki woh andhera
Halke se umeed ne chhu liya
Halke se umeed ne chhu liya
Aur jagmagaayi hai zindagi
Phir laut aayi hai zindagi
Bewajah hi jo humse rooth kar gayi thi
Bewajah hi jo humse rooth kar gayi thi.
Comments
Post a Comment