Taare Zameen Par 2007 Hindi Song Lyrics

Lyrics - Taare Zameen Par (2007) Hindi Movie Songs. Aamir Khan directed this feature film has Darsheel Safary,Aamir Khan,Tisca Chopra,Vipin Sharma,Sachet Engineer,Tanay Chheda played the lead characters.

Lyrics

Kas Ke Joota Kas Ke Belt Lyrics

Kas ke joota kas ke belt
Khons ke andar apni shirt
Manzil ko chali sawaari
Kandho pe zimmedari

Haath mein file man mein dum
Meelon meel chalenge hum
Har muskil se takrayenge
Tas se mus na honge hum

Duniya ka naara jame raho
Manzil ka ishaara jame raho
Duniya ka naara jame raho
Manzil ka ishaara jame raho

Yeh sote bhee hain attention
Aage rehne ki hai tension
Mehnat inko pyari hai
Ekdum aagyakari hain

Yeh omlet par hi jeete hain
Yeh tonic saare peete hain
Waqt pe sote waqt pe khate
Taan ke seena badhte jate
Duniya ka naara jame raho

Yahaan alag andaz hai
Jaise chidta koi saaz hai
Har kaam ko taala karte hain
Yeh sapne paala karte hain
Yeh hardum socha karte hain
Yeh khud se poocha karte hain
Kyon duniya ka naara jame raho

Yeh waqt ke kabhi ghulam nahin
Inhain kisi baat ka dhyan nahin
Titli se milne jaate hain
Yeh pedon se batiyate hain

Yeh hawa batora karte hain
Barish ki boondein padhate hai
Aur aasmaan ke canvas pe
Yeh kalakariyan karte hain
Duniya ka naara jame raho

Singer:Vishal Dadlani
Music:Ehsaan Noorani , Loy Mendonsa , Shankar Mahadevan

Song Source: Kas Ke Joota Kas Ke Belt

Dekho Inhein Yeh Hai Onss Ki Boodein Lyrics

Dekho inhein yeh hai onss ki boodein
Patto ki goodh mein aasamaan se khude
Angdai le phir karwat badal kar
Nazuk se moti hasde phishal kar
Kho na jayee yeh
Taare zameen par

Yeh toh hai sardi mein
Dhoop ki kirane
Uthre jo aangan ko sunehara sa karne
Maan ke andhero ko roshan sa karde
Thiturti hatheli ki rangat badal de
Kho na jayee yeh
Taare zameen par

Jaise aankhon ki debiyan mein neediyan
Aur neediyan mein meetha sa sapna
Aur sapne mein mil jaye faristha sa koi
Jaise rango bhari peechkari
Jaise thitliyan phoolo ki pyari
Jaise bina matlab ka pyaara rista ho koi

Yeh to asha ki lehra hai
Yeh to umeed ki seher hai
Khushiyon ki nehar hai
Kho na jaye yeh
Taare zameen par

Dekho raaton ke sene pe yeh to
Jhil mil kisi lao se uge hain
Yeh to andiyan ke khushbo hai bhago se beh chale
Jaise kaanch mein chudi ke tukde
Jaise khile khile phoolon ke mukhde
Jaise bansi koi bajaye pedo ke taale

Yeh to jhoke hai pawan ke
Hai yeh gungroo jeevan ke
Yeh to sur hai chaman ke
Kho na jayeee
Taare zameen par

Mohale ki ronak galiyan hai jaise
Khilne ki zid per kaliyan hai jaise
Muthi mein masam ki jaise hawaein
Yeh hai buzurgo ke dil ki duyaaein
Kho na jayeee
Taare zameen par
Taare zameen par

Kabhi baatein jaise dadi naani
Kabhi chale jaise num num pani
Kabhi ban jaye bhole saawalo ki jhadi
Sanate mein hasi ke jaise
Sune hoton pe khushi ke jaise
Yeh to noor hai barse gar pe kismat ho padi
Jaise jhil mein lehar aye chanda
Jaise bheed mein apne ka kandha
Jaise manmauji nadiya
Jhaag udaye kuch kahe
Jaise baithe baithe meethi si jhapki
Jaise pyar ki dheemi si thapki
Jaise kaanon mein sargam
Hardam bajti hi rahe
Jaise barkha udati hai bundiya
Kho na jaaayeeee yehhhh
Kho na jaayee yehh
Kho na jaayee yehh
Kho na jaayee yehhhh..

Singer:Dominique Cerejo , Shankar Mahadevan , Vivienne Pocha
Music:Ehsaan Noorani , Loy Mendonsa , Shankar Mahadevan

Kholo Kholo Darwaze Lyrics

Kholo kholo darwaze
Parde karo kinare
Khutey se bandhi hai hawa
Mil ke chudao saare

Aajao patang leke
Apney hi rang leke
Aasmaan ka shamiyana
Aaj hamein hai sajana

Kyun is kadar hairaan tu
Mausam ka hai mehmaan tu
Duniya sajee tere liye
Khud ko zara pehchaan tu

Tu dhoop hain jham se bikhar
Tu hai nadee o bekhabar
Beh chal kahin ud chal kahin
Dil khush jahan teri toh manzil hai wahin

Kyun is kadar hairaan tu
Mausam ka hai mehmaan tu

Baasi zindagi udaasi
Taazi hasney ko raazi
Garma garma saari
Abhi abhi hai utaari

Oh zindagi to hain batasha
Meethi meethi si hai aasha
Chakh le rakh le
Hatheli se dhak le ise

Tujh mein agar pyaas hai
Baarish ka ghar bhi pass hai
Roke tujhe koi kyon bhala
Sang sang tere aakash hai

Tu dhoop hain jham se bikhar
Tu hai nadee o bekhabar
Beh chal kahin ud chal kahin
Dil khush jahan teri toh manzil hai wahin

Khul gaya aasmaan ka rasta dekho khul gaya
Mil gaya kho gaya tha jo sitara mil gaya

Roshan hui saari zameen
Jagmag hua saara jahaan
Oh udne ko tu aazad hai
bandhan koi ab hai kahan

Tu dhoop hain jham se bikhar
Tu hai nadee o bekhabar
Beh chal kahin ud chal kahin
Dil khush jahan teri toh manzil hai wahin

Oh kyun is kadar hairaan tu
Mausam ka hai mehmaan tu

Singer:Raman Mahadevan
Music:Ehsaan Noorani , Loy Mendonsa , Shankar Mahadevan

Why Why Cant You Lyrics

Why why cant you
Idiot why cant you
Kya hai problem
Kyun tera bheja kum
Kya hai problem

Kyun tera bheja kum
Kyun maths mein ho anda
Kyun roz khate danda
Grammar pathetic
And spelling all wrong

Aksahr jo nache
Kya khayi hai bhang
Idiot duffer lazy crazy
Idiot aye duffer lazy crazy

Kyun bhasha kharaab
Kyun na dete jawaab
Kyun karte nahin try why
Why but why why cant you

Kya hai problem
Kyun tera bheja kum
Kyun rehte fissadi
Kyun handwriting raadi
Kyun homework adhura
Kyun dhyaan nahin poora
Why why why why
Why why why why

Idiot duffer lazy crazy
This child can drive anybody mad
Someone please call up his dad
Tumhara problem kya hai beta

Moorkh shorimani
Kyun number aate
Kam kyun karte nahin sum
Kyun geography mein gol
Bol bol bol bol bol

Kya hai problem
Kyun tera bheja kum
Idiot duffer lazy crazy
Kya hai problem
Kyun tera bheja kum idiot.

Singer:Aamir Khan , Amole Gupte , Bugs Bhargava , Kiran Rao , Loy Mendonsa , Ram Madhvani , Ravi Khanwiker , Roaj Gopal Iyer , Shankar Mahadevan , Shankar Sachdev
Music:Ehsaan Noorani , Loy Mendonsa , Shankar Mahadevan

A Little Sweet A Little Sour Lyrics

A little sweet a little sour
A little close not too far
All i need all i need
All i need is to be free

A little sweet a little sour
A little close not too far
All i need all i need
All i need is to be free

Chhoo loon main
Itna kareeb
Chal padun
To kitne door
A little sweet a little sour

Chhoo loon main itna kareeb
Chal padun to kitne door
Sapna ka buna sweater sa warm
Safed baadalon ke paar
Mera jahan

Let me in without a shout
Le me in i have a doubt
Let me in without a shout
Let me in i have a doubt
There are moremany more
Many many many more like me

Akela nahin main
Khuli aankhon se
Neend mein chalta
Girta zyada kam sambhalta
Akela nahin main
Khuli aankhon se
Neend mein chalta

Girta zyada kam sambhalta
Phir bhi na koi shaq na subha
Nikalega phir se sooraj jo dooba

Hairat ho sabko aisa
Ajooba hai mera jahan

Open eyed how i run
How i run to the other side
Open eyed how i run
How i run to the other side
Then i glide like a bird
I just want to be

Udne ko sau pankh diye hai
Chadme ko khula aasmaan
Udne ko sau pankh diye hai
Chadme ko khula aasmaan
Mudne ko hai karwat karwat
Aur badhne ko mera jahan

Bachpan ke din chaar
Na aayenge baar baar
Jee le jee le mere yaar
Jeib khaali to udhaar
Jee zindagi.

Singer:Adnan Sami , Ananya Wadkar , Auriel Cordo
Music:Ehsaan Noorani , Loy Mendonsa , Shankar Mahadevan

Besan Ki Sondhi Roti Par Lyrics

Besan ki sondhi roti par,
Khatti chatni jaisi maa,
Besan ki sondhi roti par,
Khatti chatni jaisi maa,
Yaad aati hai chauka-baasan,
Chimta fukani jaisi maa
Besan ki sondhi roti par,
Khatti chatni jaisi maa,

Baan ki khurri khaat ke upar,
Har aahat pe kaan dhare,
Baan ki khurri khaat ke upar,
Har aahat pe kaan dhare,
Baan ki khurri khaat ke upar,
Har aahat pe kaan dhare,
Aadhi soi, aadhi jaagi,
Thaki dopahari jaisi maa
Aadhi soi, aadhi jaagi,
Thaki dopahari jaisi maa
Besan ki sondhi roti par,
Khatti chatni jaisi maa,

Chidiyo ke chehkaar mein gunje,
Kabhi mohammad kabhi ali
Chidiyo ke chehkaar mein gunje,
Kabhi mohammad kabhi ali
Chidiyo ke chehkaar mein gunje,
Kabhi mohammad kabhi ali
Murge ki aawaz se khulti,
Ghar ki kundi jaisi maa
Murge ki aawaz se khulti,
Ghar ki kundi jaisi maa
Besan ki sondhi roti par,
Khatti chatni jaisi maa,

Biwi beti behan padosan,
Thodi thodi si sab mein,
Biwi beti behan padosan,
Thodi thodi si sab mein,
Biwi beti behan padosan,
Thodi thodi si sab mein,
Din bhar ek rassi ke upar,
Chalti natni jaisi maa
Din bhar ek rassi ke upar,
Chalti natni jaisi maa
Besan ki sondhi roti par,
Khatti chatni jaisi maa,

Baant ke apna chehra maatha,
Aankhen jaane kahan gayi,
Baant ke apna chehra maatha,
Aankhen jaane kahan gayi,
Baant ke apna chehra maatha,
Aankhen jaane kahan gayi,
Fate purane ek aalbum mein,
Chanchal ladki jaisi maa
Fate purane ek aalbum mein,
Chanchal ladki jaisi maa

Yaad aati hai chauka-baasan,
Chimta fukani jaisi maa
Besan ki sondhi roti par,
Khatti chatni jaisi maa.

Singer:Pankaj Udhas
Music:Pankaj Udhas

Chaka Raka Chi Chai Cho Chaka Lo Rum Lyrics

Chaka raka chi chai cho chaka lo rum
Gando vando laka raka tum
Akko takko iddi giddi giddi go
Iddi pai vidi pai chiki chaka cho

Gili gili mal sulu sulu mal
Maka naka huku buku re
Tuku buku re chaka laka
Bikko chikko sili sili sili go
Bagad dum chagad
Dum chiki chaka cho

Dekho dekho kya woh ped hai
Chadar ode ya khada koi
Dekho dekho kya woh ped hai
Chadar ode ya khada koi
Baarish hai ya aasmaan ne
Chod diye hai nal khule kahin

Hum jaise dekhe yeh
Jahaan hai waisa hi
Jaisi nazar apni

Khul ke sochein aao
Pankh zara phailaao
Rang naye bikhrao
Chalo chalo chalo chalo
Naye khwaab bun le

Hey hey sa pa sa pa
Dha re dha re ga re ga re
Ga ma pa sa ga ma pa sa

Bum bum bum bum bum bum
Bum bum bum bole bum bum bum bole
Hey bum chik bole bum chik bole
Arre masti mein dole masti mein dole

Bum bum bolemasti mein dole
Bum bum bolemasti mein tu dol re hey
Bum bum bolemasti mein dole

Bhala machliya bhi
Kyun udti nahin
Aise bho socho na
Socho sooraj roz nahaye ya
Baal bhigoke yeh
Budhoo banaye hume
Yeh saare taare timtimaye
Ya phir gusse mein
Kuch badbadate rahein

Khul ke sochein aao
Hey hey hey
Bum bum bolemasti mein dole

O rat rat ke kyon tanker full
tanker full tanker full
Aankhein band to dabba gul
oye dabba gul dabba gul
Oya band darwaze
khol re khol re khol re
Ho jaa bindaas bol re
bol bol bol bol re
Main bhi hoon main bhi hoon
Tu bhi hai tu bhi hai

Main bhi tu bhi hum sab mil ke
Bum chik bum bum
Chik bum bum chik
Bum bum bum bum bum bum
Bum bum bolemasti mein dole

Aisi rangon bhari
Apni duniya hai kyun
Socho to socho na
Pyar se chun ke in rangon ko
Kisi ne sajaye hai apni duniya
Upar wala kya hai apni duniya
Upar wala kya koi kalakaar hai

Khul ke sochein aao
Chalo chalo chalo chalo
Chalo chalo chalo chalo
Chalo chalo chalo chalo
Naye khwaab bun le
Bum bum bolemasti mein dole
Oye bum bum bole.

Singer:Aamir Khan , Shaan
Music:Ehsaan Noorani , Loy Mendonsa , Shankar Mahadevan